The Artistry of Zardosi Work Saree | जरदोजी वर्क साड़ी की कलात्मकता

0

The Artistry of Zardosi Work Saree 
जरदोजी वर्क साड़ी की कलात्मकता

The Artistry of Zardosi Work Saree

Zardosi Work Saree Pe Karwate Time Aapko Ye Tips Help Karenge..


  • Zardosi work kisi bhi saree ko bahut sundar aur shanadar bana sakta hai Yadi aap ek salah lena chahte hain, toh yahan kuch tips hain jo aapke liye madadgar saabit ho sakti hain:


  • Aap chahe to kuchh tips and advice ko follow kar ke Apne liye Ek kam price Main achhi original zardosi work saree banwa sakte Hain.


First of all..

  • Design and Concept:Pehle se hi ek design aur concept tayyar karein. Zardosi work intricate hota hai, isliye clear design plan banane se kaam aasani se hoga.

  • Fabric Selection: Saree ke fabric ka chayan dhyan se karein. Zardosi work,silk, georgette, crepe jaise chanderi.rich fabrics par acha lagta hai. Fabric ke texture aur color, zardosi ke work ko enhance karta hai.


  • Color Palette: Zardosi work gold, silver, aur vibrant colors se kiya jata hai. Aapke design aur fabric ke sath-sath color palette bhi dhyan mein rakhein.


  • Placement of Zardosi: Zardosi work saree par kahan tak aur kaise kiya jayega, iska decide karna Important hai. Ye design ke concept aur saree ke silhouette par nirbhar karta hai.


  • Balance and Proportion: Zardosi work saree par balanced aur proportional hona chahiye. Over whelming design avoid karein, jisse saree ki aesthetic value kam ho.


  • Theme and Storytelling: Agar aap ek particular theme ya storytelling ka use kar rahe hain, to zardosi work bhi uske sath milta-julta hona chahiye. Isse zardosi work saree ka ek cohesive aur impactful look aayega.


  • Quality of Zardosi: Zardosi work materials aur karigaron ki work quality ka dhyan rakhein. High-quality zardosi material aur karigar ki hathon ki finishing, apki zardosi work saree ki value aur longevity ko badha dega. 'Special tips' jab baat aati hai zardosi work karigar ki jiske hathon ki quality aur finishing ki baat hi alag ho wo karigar mujh se achha dusra option nahi hai.


  • Trial and Sample: Design finalize karne se pahle ek trial piece banwaye, taki aap dekh saken ki design practical hai aur kaisa dikh raha hai. uske baad hi actual saree par kaam shuru karwaye.


  • Time Management: Zardosi work time leta hai, time design aur material par hi depend karti hai zardosi work saree ki price .


In Evergreen tips ko follow karke Aap ek stunning zardosi work saree design create karwa sakte hain.

The Artistry of Zardosi Work Saree | जरदोजी वर्क साड़ी
On which fabric should Zardozi work be done?


  • Aap kisi bhi fabric pe zardosi work karwa sakte hain,Esa koi fabric nahi hai jispe Aap zardosi work nahi karwa sakte, kis fabric pe zardosi work karwana chahiye ye (Question) isliye highlight hai, kyonki ase zardosi workar jinke pass na Experience hai Na work karne ka tarika ata Hai, finishing ki to koi ummid hi nahi hai, khayaal rakhe warna apki mahngi saree Puri bigad Sakti hai. Aap Boutique se bhi zardosi work karwa sakte hai Lekin yaad rakhe kafi boutique Wale Hain jinko zardosi work our zardosi work material ka (Zero) knowledge hai, ese bhi apko boutique mil jange jike boutique Owner ko zardosi work material ke name Tak nahi malum hote hain. Apko achche boutique ko search karna hoga ya ek achhe zardosi workar ko jiske pass Experience our finishing ho.

The Artistry of Zardosi Work Saree | hand Embroidery
  • Haan zarur kuchh fabric hoten Hain jinpe zardosi work karna difficul ho Sakta Hai jaise, pure Chiffon,Net, original chanderi, Pure crepe, pure, Satin. Kuch aur bhi hain..in fabric pe ek experience workar ko hi Work karna chahiye in fabric pe halke hathon se Work Kiya jata hai. Is baat ko ek experience workar hi samjh sakta hai kis fabric pe kaise work karna hai.

Some Popular Fabrics for Zardosi Work


Zardosi work saree ke liye Heavy fabrics jaise ki Raw silk,velvet, brocade, aur heavy-weight georgette pe Zardosi work karne se aksar bahut impressive aur royal look aata hai. Yeh fabrics zardosi ke work ko sahi tarike se support karte hain aur uska intricate detailing aur sparkle ko bade acche se showcase karte hain:

  • Zardosi work: Zardosi work saree pe (metallic) material se kiya gaya ho toh heavy fabrics par bada hi shanadar lagta hai. Zardosi ke saath-saath beads Kora nakshi small size cute beads metallic coins aur metallic Sequins,stones ka use karke rich aur luxurious look create kiya ja sakta hai aap Heavy fabric pe '3D' work bhi karwa sakte Hain.

  • Aari Zardosi: Aari needle ka use karke intricate designs create kiye jaate hain. Heavy fabrics pe aari work karke aap geometric patterns, floral motifs, aur paisley designs ko beautifully highlight kar sakte hain.

  • Kundan Zardosi: Heavy fabrics pe kundan stones aur zardosi zari notwork cutebeads loding ka combination use karke royal aur traditional look hasil kiya ja sakta hai. Kundan stones ki chamak heavy fabrics pe kafi prabhavit hoti hai.

  • Gota Patti Zardosi: Gota patti Resham metallic zari aur zardosi ka mix karke bhi aap unique aur rich designs create kar sakte hain. Gota patti heavy fabrics par aksar contrasting colors mein acha dikhta hai.

  • Mirror Work Zardosi: Heavy fabrics pe mirror work aur zardosi ka combination use karke traditional aur festive look hasil kiya ja sakta hai. Mirrors aur zardosi ka intricate arrangement aapki zardosi work saree ko khaas bana sakte hain.

  • Layered Zardosi: Heavy fabrics par layered zardosi ka kaam bhi kafi impressive lagta hai. Alag-alag layers mein zardosi ka use karke depth aur dimension ko add kiya ja sakta hai.                                                                                                              Aap fabric ke texture, design concept, aur choice ke hisab se in options mein se kisi bhi combination ka chayan kar sakte hain. Lekin yaad rahe ki design aur placement ko dhyan se sochkar implement karein, taki saree ka overall look balanced aur appealing ho Aap aapni zardosi work saree ko achhe se design karwaye.
The Artistry of Zardosi Work Saree | aari work
Lightweight saree ke fabric jaise ki bandhni Net chiffon, georgette, organza, aur crepe pe Zardosi ka kaam karne ke liye aapko kuch dhyan rakhne wale factors hain. Light fabrics mein Zardosi ka kaam karne se pehle, in tips ko consider karna important hai:

  • Minimalistic Design: Lightweight fabrics par intricate Zardosi ka kaam jyada overpowering dikhega, isliye minimalistic designs ka istemal karein. Simple motifs, delicate patterns, aur lightweight embellishments choose karein.

  • Lightweight Materials: Lightweight fabrics ke liye lightweight Zardosi materials jaise ki sequins, beads, aur smaller zari silk threads gotapatti ka istemal karein. Yeh fabrics ke sath better blend hote hain aur fabric ko weigh down nahi karte.

  • Delicate Placement: Zardosi ka placement carefully decide karein, taki fabric ki delicate nature ko dhyan mein rakhte hue uske sath acha blend karein. Borders, pallus, aur edges par subtle aur graceful Zardosi work acha lagta hai.

  • Pastel Colors: Light fabrics ke sath pastel colors ka use karke Zardosi ka kaam karein. Yeh fabrics ki softness ko enhance karte hain aur overall look ko serene banate hain.

  • Thread Work Emphasis: Thread-based Zardosi techniques jaise ki aari work, badla Farsi work, aur zardozi embroidery lightweight fabrics par acha lagte hain. Yeh techniques fabric ko stretchy aur flowy rahne dete hain.

  • Pearl and Stone Embellishments: Lightweight fabrics par pearls aur small stones zari ka use karke Zardosi ko enhance kiya ja sakta hai. Ye materials fabric ko damage nahi karte hain aur elegant look dete hain.

  • Contrast Embroidery: Lightweight fabrics par contrast embroidery ka use karke subtle yet effective look hasil kiya ja sakta hai. Soft colors ke sath dark thread work ka combination acha lagta hai.

  • Intricate Borders: Saree ke border pe lightweight Zardosi ka kaam karna ek accha option ho sakta hai. Borders par delicate designs aur light embellishments aksar acha dikhte hain.

  • Lightweight Base Fabric: Agar aap Zardosi ke sath lightweight fabric pe work karwa rahe hain, to base fabric bhi lightweight hi choose karein. Isse saree ka overall weight kam rahega aur comfortable feel rahega.

  • Quality and Craftsmanship: Lightweight fabrics par bhi high-quality Zardosi ka kaam karna mahatvapurn hai. Skillful craftsmanship aur attention to detail lightweight fabrics ko bhi appealing banate hain.

  • Lightweight fabrics ke sath Zardosi work saree banwane se pehle, fabric ke texture, weight, aur flexibility ko samajhna important hai. Aapke design aur fabric ke compatibility ko dhyan mein rakhte hue, sophisticated aur graceful Zardosi work hasil kiya ja sakta hai.

Aap kuchh Idea lene ke liye zardosi work saree ka mere Pinterest par click kare..

Jab aap ek zardosi work saree banwa rahain Hain toh aapko ye bhi Read kare Bridal Zardosi Work Blouse Banwane Se Pahle Jaanle Ye Tips aapko blouse banwane main help milegi...

Special Advice.....
Aap readymade zardosi work saree buying karte hain.toh khayal Rahe ..
Market mein computer Embroidery main thoda zardosi work stone ya cute beads Sequins laga ke ya chipka ke aapko hand Embroidery ya zardosi work saree bol ke de sakte Hain..aur ese dhoke khate hua Maine Kafi fashion designer ko ya Boutique Run karne waalon ko dekha hai jab ek parfational Dhoka kha saktein hai toh aap samjh saktein Hain..
Aapko zardosi work ka achha Knowledge hona chahiye jabi Aap ek zardosi work saree original buying kar payenge ya kharid payenge..

Ab Main apki Help karunga Ek original zardosi work saree banwane main ya kharidne main...

Simple hai. Aapko 3 baaton ka khayaal rakhana hoga...

1..Aapko mare Pinterest pe Jake zardosi work ke blouse ya design ke picture dekhne honge Jo Maine khud banaye Hain apko zardosi work ki finishing ko check Karna hoga bariki se, isse apko zardosi work ki finishing ka Idea milega. Aapko zardosi work ki finishing ki Knowledge milegi Jo apki help karegi...

2..kabhi bhi zardosi work ,low quality, fabric pe nahin Kiya jata Hain..ye baat bahut normal Hai. Kyonki agar Aap aapni zardosi work saree pe 10 thousand ka work karate ho toh aap kabhi bhi 200 rupees ke fabric pe work nahin  karwaoge.. Aap Pure aur original hi fabric par hee work karwana pasand Karenge..

3..ek zardosi work saree Main Pure fabric and original zardosi aur karigar ki finishing important hoti hai, apko zardosi material ki pahchan ke liye Aapko zardosi material Shop visit karni chahiye Aapko original material aur low quality material ko calculate Karna chahiye..
 

Many People Search On Google

Kafi log Google pe search kartain Hain Aari work ya maggam Work kya hota hai..
Aari work, maggam work, zardosi work, haath ki kadai, carchook ka kaam, ya zari work, adde ka kaam, ye sab ek hi Hain in sab nam ko milake ek nam Banta Hain, 
HAND EMBROIDERY  India main har state main hand embroidery alag alag Nam se Jana jata hai,,thoda prosses alag hota hai, Lekin ye sab ek hi hai ,jise Duniya Hand embroidery ke Nam se janti Hain,, 

 Good Luck For Your Beautiful Zardosi Work Saree



Post a Comment

0Comments

Please Select Embedded Mode To show the Comment System.*